Categories
advertisements
Love - Romantic [Sad SMS]
Koe mila hi nahi jis ko wafa date.
Her ik ne dokha diya kis kis ko saza dete.
ye humara zarf tha k khamosh rahe
dastan sunate to mehfil ko rula dete.
Tanhai jub muqaddar mein likhi hai,
To kia shikayat apnon aur bayganon se,
Hum mit gaye jin ki chahat main,
Woh baaz nahin aatay hamain azmanay se
Girti hoi dewar ka humderd hoon Lakin
charty hoy sourg ki prus-thish nahi karta
humdard e ehbab se drta hoo lakin
zakhm too rakhta hoo lakin nooma’ish nahi karta
Har Naye Mod Par Sham Ho Jati Hai,
Zindgi Pyar Me Badnam Ho Jati Hai,
Kaise Dekhu Mai Kal Ke Sapne,
Meri To Har Khusi,
Poori Hone Se Pehle Nilam Ho Jati Hai.!
Baat Umar Bhar Kee Thi Do Pal Kee Nahi;
Baat Saath Kee Thi Halaat Kee Nahi;
Jahan Ke Mele Mein Haath Chhod Diya Tune;
Baat Zubaan Kee Thi Kismat Kee Nahi!
Dard itna hai ki roo bi nahi sakta hu.main
Payas itni hai phir pani pii nahi sakta main
Bhook lagi to bohat hai par kha nhi sakta main
Yeh kon sa moor par la aaye hai zindagi mujay
nind aaye to bohat hai phir see soo nhi sakta mein
True Lines On Zindagi..
Rishte or Raste
zindagi ke do pahlu hai
kabhi rishte nibhate-2 raste kho jate hain
Toh
Kabhi raston par chalte chalte rishte ban jate Hain
Kuch ko rishte raas aa jate hain or kisi ko raste..!
Kabhi Pathro Par Phool Khil Jate Hain
Kabhi Ajanabi Bhi Apne Ban Jate Hain
Kabhi Lasho Ko Kafan Tak Nahi Milta
Kabhi Lasho Par Tajmahal Ban Jate H
Agar Nafrat karni hi hain toh
Gunah se karo gunehgaro se nhi
Kyuki ho sakta hai Tumare ishq me
Woh gunah karna hi chod de
zindagi me 2 cheeze humesha tutne k liye hi hoti hain
1- saans
2- saath
Saans tutne se to insaan ek hi baar marta hain
par kisi ka sath tutne se insaan pal-2 marta hain
Zindagi jiyo toh jarurat ke mutabik
Kabhi bhi khawaisho ke mutabik nahi
kyuki jarurat toh fakeero ki bhi puri ho jati h
Aur khawaisho ameero ki bhi aduri rah jati h
Duniya me koi bhi cheez apne aapke ke liye nahi bani hain
Jaise Dariya – khud apna pani nahi peeta
Ped – khud apna fal nahi khate
Suraj – apne liye har raat nahi deta
Phool – apni khusboo apne liye nahi bhikherte
Maloom hai kyun ?
Maango toh apne rab se maango
Jo de to rahmat aur na de to kismat
lekin duniya se hargiz mat maangna
Kyun ki,
De toh ehsaan or na de to sharmindgi
Kabhi bhi “Kamyaabi” ko dimaag aur,
‘Naakami’ ko dil me jagah nahi deni chahiye
Kyuki “Kamyaabi” dimaag me ghamand aur
“Nakami” dil me mayoosi peda karti hain
Mohabbat aankho se nikle ashko ko moti bana deti h
Mohabbat gehre zakhmo par b marham laga deti hai,
Jab jeene ki koi bhi vajah hi naa bachi ho,
Tab Mohabbat maut ko bhi zindagi bana deti hain
Beautiful Lines To Save Relations..
Yadi Zindagi ke mode par hum tumhe bure lagne lage toh,
Zamane ko batane se pahle hume ek baar jarur bata dena
Ek samshaan ke bahar likha tha…
Manzil toh teri yahi thi, bas
Zindagi gujar gyi teri yaha aate-2
Kya mila tujhe es duniya walo se ?
Apno ne hi jala dia tuje jate-jate
Zakham ki baat nahi hain,
Na jane dard kyu hota hain,
Dhokhe ki baat nahi hain,
Na jane vishwas kyu hota hai
Jante hai bewafai hi milegi,
Na jane fir bhi pyar kyu hota h
Ishq aur mohabbat us daur ki baatein h aye-dost
Jab log sachhe aur makaan kachhe hua karte the
Mujhe aasmano mein udne ka shok hain
Parindo ke beech khelne ka shok hain,
Agar mjhe Jaanna ho to jara dur se hi jaanna
Mai parwana hu mjhe aag me jalne ka shok h
Toot kar bikhar jate h wo log mitti ki dewaaro ki tarah,
Jo khud se b jyada kisi aur se mohabbat kiya karte hai
Kabar me dafnaate hi,
Sare rishte tut jate h
Chand dino mein apne
Apno ko bhul jate h
Koyi nahi rota umar
Bhar kisi ke liye
Waqt ke sath aansu
Bhi sukh jate hain
Truth Of Life in Hindi -
Truth no 1 – Maa ke siwa koyi wafadaar nahi
Truth no 2 – Gareeb ka koyi dost nahi
Truth no 3 – Log achi seerat ko nahi achi surat ko tarjeeh dete hain
Truth no 4 – Izzat sirf paise ki hain insaan ki nahi
Truth no 5 – Insaan jis shakhs k liye dil se mukhlis ho wahi shakhs dukh dard deta hain
True Lines in Hindi -
Hume waqt aur teacher dono sikhate hain
Par Waqt aur Teacher me sirf itna sa fark h
Teacher sikha ke imtihaan leta hai
Aur Waqt imtihaan lekar sikhata h
Zindagi me agar bura waqt na aata to,
Apno mein chupe huye ger aur,
Gero mein chupe huye apne,
Humein kabhi najar nahi aate
Zindagi bhi kya ajib ajib mod leti hai
Ek time aisa tha jab hum apne dosto se kahte the
“Chalo milkar kuch plan banate hain
aur ab
Chalo milne ka koyi plan banate hain”
Thats Life…
True Quote -
Waqt se jyada zindagi mein,
koi b apna aur paraya nahi hota
Agar waqt apna h to sabhi apne hote h
Aur agar waqt hi paraya ho to
apne bhi paraye ho jate hain
Sirf ek ehsaas karne ka andaaz badal jaya karte hai
Varna aanchal aur kafan ek hi dhaage se bante hai
Kyu judta h tu es Jahan se, ek din ye gujar hi jayega,
Chahe kitna b samet le yaha, mutthi se fisal hi jayega
Parwah kar uski jo teri parwah kare
Zindagi mein jo kabi na tanha kare
Jaan ban ke utar jaa uski ruh mein
Jo jaan se b jyada tujhse wafa kare
Hanste rahoge toh duniya sath hain warna,
Aansuoo ko to aankh me b jagah nahi milti
Jab chote the hum to jor se rote the
Jo pasand hota tha us paane ke liye
Aaj bade hai to chupke se rote hain
Jo pasand hain use bhulane ke liye
Aaj ke jamane me wo hi imaandaar h
Jisko beyimaani ka mauka nahi mila
“Mujhe itna Niche na girana,
Mere malik ki main pukaru aur
Tum sun naa paao, Aur
Utna upar bhi na uthana ki koi
Pukare aur main sun na paau”
Main “Kisi Se” Behtar Karoon, Kya Fark Padta Hai,
Main “Kisi Ka” Behtar Karu, Bahot Fark Padta Hai
परवाह नहीं चाहे जमाना कितना भी खिलाफ हो,
चलूँगा उसी राह पर जो सीधी और साफ हो…!
Main wo khel nahi khelta jisme jeetna fix ho,
Kyun ki..
Jeetne ka maza tabhi h, jab haar ne ka risk ho
Parwah nahi chahe zamana kitna b khilaaf ho,
Chalunga sirf usi raah par jo sidhi aur saaf ho